Showing posts with label gazals. Show all posts
Showing posts with label gazals. Show all posts

Ranjish hi Sahi......


Ranjish Hii Sahii Dil Hii Dukhaane Ke Liye Aa 
aa Phir Se Mujhe Chhod Ke Jaane Ke Liye Aa 

pahale Se Maraasim Na Sahii Phir Bhii Kabhii To 
rasm-o-rahe Duniyaa Hii Niibhaane Ke Liye Aa 

kis Kis Ko Bataayenge Judaaii Kaa Sabab Ham 
tuu Mujh Se Khafaa Hai To Zamaane Ke Liye Aa 

kuchh To Mere Pindaar-e-muhabbat Ka Bharam Rakh 
tuu Bhii To Kabhii Mujh Ko Manaane Ke Liye Aa 

ek Umr Se Huun Lazzat-e-giriyaa Se Bhii Maharuum 
ai Raahat-e-jaan Mujh Ko Rulaane Ke Liye Aa 

ab Tak Dil-e-khushfaham Ko Tujh Se Hain Ummiiden 
ye Aakhirii Shammein Bhii Bujhaane Ke Liye Aa 

maanaa Ki Muhabbat Kaa Chhipaanaa Hai Muhabbat 
chupake Se Kisii Roz Jataane Ke Liye Aa 

jaise Tujhe Aate Hain Na Aane Ke Bahaane 
aise Hii Kisii Roz Na Jaane Ke Liye Aa....




Badi Haseen Raat Thi - By Late Jagjit Singh ji

Hi friends....


Today's post is a Ghazal written, composed and driven threw our souls by the Great Music Maestro Late Jagjit Singh ji.


So lets enjoy the soulful voice of this great maestro.....


charagh-o-aftab gum badi haseen raat thi 
charagh-o-aftab gum badi haseen raat thi
shabab ki naqab gum badi haseen raat thi
charagh-o-aftab gum badi haseen raat thi


mujhe pila rahe the woh ke khud hee shamma bujh gayi
mujhe pila rahe the woh ke khud hee shamma bujh gayi
gilas gum sharab gum,badi haseen raat thi


charagh-o-aftab gum badi haseen raat thi


likha tha jis kitab mei ke ishq to haraam hai
likha tha jis kitab mei ke ishq to haraam hai
hui wahi kitaab gum,badi haseen raat thi


charagh-o-aftab gum badi haseen raat thi


labon se lab jo mil gaye,labon se lab hee sil gaye
labon se lab jo mil gaye,labon se lab hee sil gaye
sawal gum jawab gum,badi haseen raat thi


charagh-o-aftab gum badi haseen raat thi


shabab ki naqab gum badi haseen raat thi
charagh-o-aftab gum badi haseen raat thi.....





Have a nice day....