Is Nadi Ki Dhaar Me - Kavi Dushant Kumar

Is nadi ki dhaar me thandi hawa aati to hai
naav jarjar hi sahi lahro se takrati to hai,

Ek chingaari kahi se dhoond laayo dosto
Is diye me tel se bheegi huyi baati to hai,

Ek khandahar ke hriday si,ek jungli phool si
Aadmi ki peer gungi hi sahi gaati to hai,

Ek chadar saanjh ne sare shehar par dal di
Is andhere ki sadak us bhor tak jaati to hai,

Banjar maidan mein leti hui nadi,
Patharon ki ot mein ja ja ke batiyati to hai,

Dukh nahi koi ab uplabdhiyon ke naam par
Kuch ho na ho aakash si chati to hai.

No comments:

Post a Comment